UC Browser Ho Sakta Hai India Mein Ban ! - Tech To More (T.T.M)

Breaking

Wednesday 23 August 2017

UC Browser Ho Sakta Hai India Mein Ban !

Agar aap apne Phone mein Internet ka use karne ke liye UC Browser ka istemal karte hai to aap ko bata de ki UC Browser ko India mein Ban kya ja sakta hai.


                                   
 Hello everyone😉

Chinese E-Commerce Company Alibaba ka ek Product India mein sabse jada use kya ja raha hai us Product ka naam hai UC Browser ji haa India mein hi 60% logo ke Phone mein aap ko UC Browser App mil jayega lekin kya aap jante hai ki UC Browser aap ka Personal data (Information) Chinese Server per transfer kar deta hai aap ko bata de ki India ke ek Research mein paya gaya ki UC Browser apne user's ka data jaise Phone Number, Jio Location or other personal, Dives information Chinese server ko transfer kar deta hai or kaha jata hai ki UC Browser ke ON hote hi vo Chinese Server ke sath connect ho jata hai.

                  


                                           
Lekin ab Govt. of India ne UC Browser ko check karne ka order de diya hai jaisa ki aap log jante hai ki India mein aaj kal Chinese Product per Ban lagaya ja raha hai or ussi ke chalte UC Browser ko bhi ghere mein liya gaya hai aap ko bata de ki Indian Govt. ne UC Browser ko check karne ke liye CDAC (Center for Development of Advance Computing of Hyderabad)ko order diya hai is ke alawa Senior IT Officer ne UC Web ko mail bhi kya tha but UC Web ke taraf se koi Reply nahi aya or ab Govt ne kaha hai ki agar UC Browser per koi ek Complaint bhi lagu hoti hai to Govt. of India UC Browser ko India me Ban kar degi.
                            
Agar aap apne Phone mein UC Browser use kar rahe hai to aaj hi UC Browser ko uninstall kare or apna Personal data chori hone se bachaye or agar aap ko ye News achi lagi ho to aap apne Friends ko Whatsapp, Facebook per is News ko Share kare.


No comments:

Post a Comment

Post Bottom Ad

Responsive Ads Here

Pages