Apne Whatsapp, Facebook Friends ko Hindi, French, English or Chinese etc. Language me Message bheje.
Whatsapp or Facebook ka itna Craze chal raha hai ki aap ko har kisi ke Smartphone me Whatsapp, Facebook Applications mil jayengi or इसी ke chalte humare TradeHindi ke ek Visiter Mr.Mohit Ji ne ye Question pucha ki "Sir kya Whatsapp or Facebook per hum alag - alag Language me Message bhej sakte hai"
Mohit Ji bilkul hum Whatsapp or Facebook per alag - alag Languages me Message bhej sakte hai or is ke liye aap ko humari ye post puri padni hogi or aap logo ka jada time na lete huye hum Topic Start karte hai.
➩ Whatsapp, Facebook per Multiple Languages Me Messege Kaise Bheje:-
1. Sabse phele aap ko apne Smartphones me SwiftKey App Install karna hai.
( SwiftKey App Install karne ke liye niche diye gaye Download button per click kare.)
2. SwiftKey App Install karne ke baad usse open kare or SwiftKey App ko Enable kare.
Image By Google |
3. Aab Languages option per jaye or jis Language me aap Message bhejna chate hai us Language ko Select kare.
Images By Google |
4. Aab apni Favorite Keyboard Theme Select kare.
Images By Google |
5. Aab aap ke Smartphone ka Keyboard change ho gaya hai or aap jab bhi koi Message Type karenge to "Space" Button per long press kare fir aap ko vo Language show hogi jo apne SwiftKey App me Select ki huyi hai.
Images By TradeHindi |
Aap chahe to Whatsapp pe Message bhej ke dekh sakte hai agar aap ko koi or Language me Message bhejna hai to aap SwiftKey App me jake Language change kar sakte hai.
Read Also :- Whatsapp Ne Launched Kya New Feature | Ab Chat Karna Huya Assan
Friends aab aap ko pata chal gaya hoga ki Whatsapp or Facebook per Multiple Languages me Message kaise bheje agar aap ko ye Trick use karne me koi problum ho rahi hai to aap hume comment kar ke bata sakte hai.
loading...
Agar aap ko Technology se related koi bhi question puchna hai to aap hume comment kar ke puch sakte hai or agar aap ko humari ye post achi or usefull lagi to aap iss post ko Social media Facebook, Whatsapp per bhi Share kar sakte hai.
No comments:
Post a Comment